Posts

Jazbaat....

Na udte patto ki awaaj thi na samandar ki gehrai thi... jis waqt tum pehli baar nazar aayi thi.... Ruki hui bhawnao ki bandhisho ko todar tum is dil mein samai thi...  Jaise kisi sukhe hue banjar mein ek boond padne par fir jaan aayi thi... na ye lamha waapis aayega na ye mauka hamesha fursat mein tumhe yaad kr ke tum na jaan paoge kitna sukun pate hai bas waqt se yahi gila hai ke har pal saath rehne ki chaht mein na tumse bhut kuch na bol paye kyunki ye lambhkt duniya hi sali hamesha se begani thi  Isliye keh rha hu na....... Na udte hue patto ki awaj thi aur na samndar ki gehrai thi.... jis waqt pehli baar tum nazar aayi thi......

Keher

Lockdown...? kya iska arth koi smjh paya hai Ye gharo mein band rehne se jyada ek soch hai Kitne saalo tak is prayavaran ke hum karjdaar rahe hai.... Par kabhi iske baare mein hum ek pal bhi soch na sake Iske chalte gayab ho gyi kayi muskaan Na ab dikhte hai koi khilkhilate bachhe na chehakte aur khelte nadaan Kuch gum sa mehsoos kr rha hu kai dino se Magar ye mera gum nahi meri ruh kaap rahi hai andar se Jis trah aaj vishv jhuj rha hai bimari se Aur ghbra raha hai sochkar uska anjaam Agar pryavarn par humne atyachaar na roka toh Woh din dur nahi jis din ye pryavarn hi keh dega ab bhut hua ab main lagata hu purn viraam

Ruth gya hai tu kyun

Jindagi is majhdhaar mein kahi kho gaya hai tu.... Aisa kya hua jo itna ruth gaya hai tu...... Itni khushiya thi teri hone par...... Mano jaise teri pyaar ki chaat ho mere sar par Humesha mujhe bachaye rakhta har mushkil se...... Chahe koi ho na ho chaar baatein krleta tha tujhse Na koi mang na koi shikayat Humesha sath rah tu har pal har waqt Ae mere ladne ki himmat kaha hai tu Mere dost kaha chala gaya tu  Jindagi is majhdhaar mein kahi kho gaya hai tu.... Aisa kya hua jo itna ruth gaya hai tu

Kafila

Chahi thi ek sukun ki jindagi jo mil na saki, Aur khushiyan mere dar par jyada der na ruki,   In khushiyon ko samet na saka main, Sahyd ye thi hi nhi meri isliye inhe rok na saka main,   Bas bhut hua  ab nhi bardasht hoti mujhse ye jindgi , Kyunki kya fayda aise jine ka jab ho na koi bandagi,   Rakh na paya kisiko khush main aur kiya sabko dukhi, Toh uparwala bhi kyun rakhega mujhe sukhi,   Shayd yahi hai meri jindagi ka faisla, Aur kya pata in sab se tut kar kab chut jaye mujhse ye kafila.  

Maa

Meri pehli kilkari par khush hui thi woh… Aur apne aap ko bhul mujhe  niharti thi woh….   Mere jubaan se “MAA” sunne ko taras jaati thi woh… Aur mujhe apne pehle kadam jamin par rakhte dekh khushi se bhar aati thi woh….   Jab main pehli baar  pukara use “maa”…. Aise khush hui who jaise paa liya ho saara usne jahaan….   Mujhe papa ki daat se bachhati thi meri maa… Aur jab mujhe khelte khelte chot lag jaati toh sirhaane puri raat baithi thi meri maa….   Mujhe bukh lagne par apni bhuk bhul jaati thi meri maa… Aur mere shauk pure karne ke liye apne shuak bhul jaati hai maa….   Aaj jab main kamane laga hu toh jaane main kyun itna swarthi ho gya hu….. Maa  mere intezaar mein baithi rehti toh main keh deta hu main khana khake aaya hu….   Woh mujhse baat karna chahti hai aur apne din bhar ka haal batana chahti hai…. Magar mere paas uske liye waqt nahi…….. Aur wahi maan bachpan mein ek hi sawaal ka jwaab baar baar deti chahe who ma

Akelapan

Akelapan…………………….   Jane ye tanhayee kab jayegi…………… Aur kab mere dar par khushiyaan aayegi……………..   Kab main khush ho paunga……………………….. Aur khud ko khud se mila paunga……………..   Dhoondta rehta hu najane kya har din……………… Jaise khud ki talaash hai mujhe har din………………   Koshish karke bhi ho rha hu apno se dur…………. Kya pta isme kya hai mera kusur…………………   Chahat hai ro lu kisike kandhe par sir rkh ke……………… Aur bol du apne saare jajbat dil ke…………..   Magar kar nhi pata jo main uske bare mein kyun sochna………………….. Kyunki wahi hoga jo hai hona………………….. sachinsafale.blogspot.com

Tanhayee

Nikal pada hu sun saan raste par ……………………… Na khushi ka thikana na manzil ki khabar……………………….. Badi mushkil hogi dagar…………………… Parkya pata  mil jaaye raste mein koi humsafar………………….   Bachpan se sanjoye hai jo sapne unhe karna hai pura……… Kyunki dar hai kahi yeh reh na jaye kahi adhura………. Dusro ki khushiyon ke liye jhuka diya khud ko……. Magar koi toh pehchaan kara do mujhse apne aapko……….   Main karunga sapna pura ek din…………. Bas intezaar hai us din ka lekin…….. Kisi ko ho na ho mujhe hai yakin…………….. Ki jhukegi mere aage ye aasmaan aur ye zamin…………..   sachinsafale.blogspot.com